نور سعدیہ شیخ آپی آپ کے اصرار پر:
کسی حضرت نے ایک تحریر کسی علمی فورم پر لکھی تھی۔ پہلے وہ آپ کے سامنے رکھتی ہوں۔ ان ہی کے الفاظ میں۔
Co Education Essay In Urdu Larkay Aur Larkiyan Akathi Kisi Aik Darsgah Mein Taleem Patay Hon Tou Is Tarika Ko Makhloot Taleem Ka Naam DiyaJata Hai. Taleem Ke Mutaliq Bohat Se Masail Hal Talab Paray Hain. Ye Masla Bhi Aik Mila Masla Hai Jis Ko Hal Karna Bhi Bihat Zaroori Hai. Abhi Tak Female Education Ka Masla Hi Hal Nahin Kar Sakay. In Ke Nisab Mein Masla Paya Jata Hai. Aik Tabqa Ka Khayal Hai Ke Larkiyon Ko Sirf Aisi Taleem Dena Kafi Hai Jis Se Ghar Ki Zumaidariyan Sambhal Sakain Aur Batoor Sanaf Nazuk Apne Faraiz Ghar Ke Andar Hi Sar Anjam De Sakain. Khuch Log Maghrib Pasand Hain Khuch Mashriq Pasand. Sub Ki Apni Apni Raye Hai.
Co-Education Yani Makhloot Taleem Bhi Aik Qaumi Masla Hai. Is Ke Mutaliq Bhi Mukhtalif Ara Hain. Azad Khayal Logon Ka Nuqta Nazar Hai Ke Larkiyon Aur Larkon Ko Akhathay Taleem Dene Mein Hoi Harj Nahin Balkeh Is Ke Bohat Se Faide Hain. Hamara Mulk Aik Ghareeb Mulk Hai Alag Alag Taleemi Adaray Banana Aur Un Ke Akhrajat Ka Muthamal Nahin. Wh Kehte Hain Ke Mil Jul Kar Azadana Taleem Hasil Karne Se Manfi Jazbat Khatam Ho Jate Hain Aur Sakoon Ke Sath Husool Taleem Ka Kaam Jari Rehta Hai. Larkay Aur Larkiyon Ko Aik Dusre Ko Samajhne Ka Achi Tarah Se Moqa Milta Hai.Un Ki Bahmi Jhijhak Bhi Dor Ho Jati Hai. Apas Mein Tabadla Khayalat Se Bohat Si Ghalat Fehmiyan Door Ho Jati Hain Aur Bohat Se Ikhtilafat Khatam Ho Jate Hain.
Larkiyon Mein Buzdili Ke Bajaye Jurat Paida Hoti Hai Jo Amli Zindagi Mein Mufeed Sabit Hoti Hai. Un Mein Mardon Ke Dosh Badosh Kaam Karne Ki Salahiyat Paida Ho Jati Hai. Makhloot Taleem Se Aik Aur Bhi Faida Hota Hai Ke Aik Dusre Se Agey Nikal Janay Ka Jazba Paida Ho Jata Hai. Larkiyan Koshish Karti Hain Ke Hum Larkon Se Qabil Tareen Ban Kar Dikhayain Aur Larkay Ye Khayal Karne Lag Jatay Hain Ke Agar Larkiyan Hum Se Agey Nikal Gayienn Tou Hamari Is Mein Bay Izzati Hai. Lihaza Donon Larkay Larkiyan Khoob Mehnat Karte Hain. Is Tarah Se Un Ka Mayar Taleem Buland Ho Jata Hai Aur Woh Mehnat Ke Adi Ho Jate Hain. Muqablay Ke Imtiham Mein Asani Se Kamyabi Hasil Kar Saktay Hain. Jin Larkiyon Ne Makhloot Taleem Payi Zayada Jurat Se Aadmiyon Ke Dosh Badosh Baghair Kisi Jhijhak Ke Kamyabi Se Kaam Kar Sakti Hain. Jo Log Co Education Ke Haq Mein Hain Woh Ye Kehne Mein Kisi Had Tak Apne Aap Ko Darust Samajhtay Hain Ke Sirf Mard Kaam Karay Tou Saray Kumbay Ka Guzara Mushkil Ho Jata Hai Aur Agar Is Mein Aurat Bhi Kaam Karay Tou Bohat Had Tak Bojh Halka Ho Jata Hai. Zindagi Asani Se Uzarti Hai. Bachon Ko Like Banane Ke Liye Bohat Sari Kamai Ki Zaroorat Hoti Hai. Agar Mard Aur Aurat Donon Hi Kamayain Tou Us Waqt Duswari Ka Samna Nahin Karta Parta Aur Is Tarah Zindagi Zayada Khush Gawar Guzarti Hai.
اب اپنا جواب(سوالیہ) شامل کرتی ہوں تاکہ آپ سب بھی اپنی رائے کا اظہار کر سکیں۔
(Mazrt k sath) Jo log aysa smjhty hyn k lrkeyon ko sirf amoor e khana dari hi ki taleem dyni chahey un ki nzr myn lrkeyan Insan ni hyn. Aor agr insan hyn b to ghulam hyn. Qk Taleem ka mqsd 1 mtti k putly ko jeta jagta aql o shaur wala INSAN bnana hy, mehz hsul e rozgar ni hy. Lrkeyon ko b hq hy k wo hr tra ka Ilm sekhyn. Islam ny kb kaha k flan ilm sirf mrdon k ley aor flan sirf aorton k ley?
Co-Education qomi msla ni hy sirf sochon ka tzzad hy.
Co-education ka mtlb hr giz yeh ni k hm apni hdud ko bhul jayn blky is k zrey hm behtr andaz myn apny fraiz, apny hquq aor apni hdud ko jan skty hyn.
Yeh to kaha jata hy k lrkeyon ko b taleem dila do taky wo b job kr k hmara hath btayn mgr yeh ghlt soch hy. Zrurt k teht agr koi aort job krti hy to yeh koi buri bat ni mgr is bat ko smjhny ki zrurt hy k Taleem ka mqsd soch aor kirdar myn msbt bdlao hy. Aor yeh msbt bdlao sirf mrd k ley ni aort k ley b hy.
Mjhy btaey insan ki pehli drsgah kya hy?--- Maan ki god hy na?--- Aor jb maan taleem yafta ho gi to bchy ki trbeyt achi tra kry gi. Yahan yeh bat b nzr andaz ni ki ja skti k Bap ki taleem b bchy k ley zruri hy qk ghr ka mahol mrd k asr myn hota hy. Byshk aort hi ghr ka mahol bnati hy mgr mrd ki mrzi ya mizaj k mutabiq.
Mrd aor aort dono k ley hr tra ka hsul e ilm zruri hy mgr in donon ki zimadareyan kuch mukhtlif hyn is ley is ilm ka istmal b donon k ley thora mukhtlif hy.
Hmary muashry myn bht c misalyn mojud hyn jo byan ki ja skti hyn dlail k tor pr. Mgr bwja e wqt yahan itna kehna kafi hy k Jb hsul e ilm dono k ley zruri hy to phir 1 jga pr q ni???